Kisi ke itne paas na ja
Ke door jana khauff ban jaye
Ek kadam peeche dekhne par
Seedha rasta bhi khaii nazar aaye
Kisi ko itna apna na bana
Ki use khone ka darr laga rahe
Isi darr ke beech ek din eisa na aaye
Tu pal pal khud ko hi khone lage
Kisi ke itne sapne na dekh
Ki kaali raat bhi rangili lage
Aankh khule to bardaasht na ho
Jab sapna toot toot kar bikharne lage
Kisi ko itna pyar na kar
Ke baithe baithe aankh nam ho jaye
Use gar mile ek dard
Idhar zindagi k do pal kam ho jaye
Kisi k bare mein itna na sooch
Ki sooch ka matlab hi wo ban jaye
Bheed ke beech bhi
Lage tanhai se jakde gaye
Kisi ko itna yaad na kar
Ki jaha dekho wohi nazar aaye
Rah dekh dekh kar kahin aisa na ho
Jindagi peeche choot jaye
No comments:
Post a Comment