Aaj barson baad teri yaad aayi thi
ab main samjha hoon tere pyar main gahrayi thi
aaj jab mere hathon se koi hath chhoota hai
aaj jab beawaaz mera dil toota hai
tab ye samjha hoon
tere dil ke tootne ki bhi awaz nahi hoti thi
tu mujh se door
mujh se chip ke kaheen roti thi
aaj jab rat maine jag ke kati
to socha tu bhi kabhi na soti thi?
aur main tere har ansoo me muskraaya tha
aaj tere unhi boondo ko maine meri ankho main paya tha
maine barson tujhe udas kiya
aaj mujhe kisi ne rulaya tha
aaj tere boondo ko maine meri ankhon main paya tha
main nek dil bhi tha
bura bhi nahi tha
par tujhe meri duniya ka hissa maan nahi saka
teri har baat main mera khayal tha
main khud ko hi kabhi pehchan nahi saka
aaj jab koi kah gaya us ki duniya juda hai
meri duniya juda thi
mujhe ehsas hua main yu hi sa shakhs tha
aur teri woh muhabbat khuda thi
mere hathon se hath chootna hi tha
mera dil kabhi to tootna hi tha
tune kabhi bura chaha nahi mera
par aahon main asar tha
aaj main pathar se pyar kar baitha
kal main bhi to pathar tha
aaj jab teri gali tera shahar tera pata maloom nahi
dil ke tu aas paas hai
jis pyas ka kal main ab-e-hayat tha
ab mere lab pe wahi pyas hai
kal tune talash kiya aur kuch nahi mila
aaj mujh ko talash hai
ab mere lab pe wahi pyas hai
mere is dard ne khuda ki raza payi hai
ye gam-e-hizr nahi hai
maine gunahon ki saza payi hai
aaj barson baad teri yaad aayi thi
ab main samjha hoon tere pyar main gahareyee thi..
No comments:
Post a Comment