Tum se ek baat kehni hai
par ye shamma bujh jaane do
jo darmiyan ek parda hai
aaj use gir jaane do
labon ki shikayat hai
aaj inhe mil jaane do
kab se pyaas tann mein jagi hai
aaj ise mit jaane do
Barson se talabgaar hu tumhari
aaj rooh mein bas ne do
Mushqilon se ye mauka mila hai
aaj hadd se guzarne do
yunhi baahon main lipte hue
aaj mujhe mar jaane do
ab guftagu karne ki gunjaayish na rahe
is tarah jismon ko baat karne do
kayi raaton se jaagi hoon tanhai mein
aaj apne seene pe sone do
is jism ko pighalne do
apni saanso mein utarne do
badi muddat se mile ho mujhko
aaj jo hota hai hone do
No comments:
Post a Comment