Muhabbat ke safar mai koi bhi rasta nahi deta
zameen wakif nahi banti,Falak saya nahi deta
khushi or dukh ke mausum sub ke apne apne hotay hain
kisi ko apnay hissay ka koi lamha nahi deta
udasi jis ke dil mai ho usi ki neend udti hai
kisi ko apni aankhon say koi sapna nahi deta
uthana khud hi padta hai thaka tuta badan apna
ke jub tak sans chalti hai koi kandha nahi deta
No comments:
Post a Comment