Please rate the shayaris / poems after you read them and feel free to give your comments / suggestions in the comments form. If you have a good shayari to share with us or you would like to exchange links with us please mail us at shayari@randomthotz.com.

Bewafai kaa ab gila kaisa

Bewafai kaa ab gila kaisa
aap pahle bhi kab hamare the
meri aankhon main phailte hue rang
kal tak aap ko bhi pyare the

nahin shikawa mujhe kuch bewafai ka teri hargiz
gila tab ho agar tune kisi se bhi nibhai ho

Gham to ye hai ki vo kasme waade Toot gaye
bewafa koi bhi ho tum na sahi ham hi sahi

badi zaalim nihayat bewafaa hai
ye duniyaa phir bhi kitani Khush-numa hai

bewafaa tune mujhe pyaar kiya hi kyun tha
sirf do-char savalat kaa mauqa de de

kaam aa saken na apni wafaayen to kya karen
ik bewafa ko bhool na jayen to kyaa karen

mujhe mere mitna ka Gham hai to ye hai
tumhain bewafaa kah raha hai zamana saara

na jaane kyaa hai us ki saaf aankhon main
woh muuh chhupa ke jaaye bhi to bewafaa lage

sar jukaoge to pathar devata ho jayega
itna mat chaho use keh woh bewafaa ho jayega

terii bewafaaiyon par, teri kaj adaaon par
kabhii sar jhuka ke roye, kabhi muh chupa ke roye

No comments: