Maasum mohabbat ka bas itna fasana hai,
kagaz ki haweli hai baarish ka zamana hai,
kya shart-e-zamana hai,kya shart-e-zamana hai,
aawaz bhi zakhmi hai aur geet bhi gaana hai.
us par utarne ki umeed bahut kam hai,
kashti bhi purani hai aur tufano ko bhi aana hai.
samjhe ya na samjhe wo andaaz mohabbat ke,
ek shayar ko in aakhon se ek sher sunana hai
bhuli si ada koi aaj phir ishq ki zidd par hai,
FIR AAG KA DARIYA HAI AUR DOOB KE JANA HAI
No comments:
Post a Comment