Sochkar un lamho ko muskura padte the
jab ek dusre ke haathon mein haath hua karte the
dekhte the un gehri aankhon mein aur kho jaya karte the
wo sapne ki duniya hum roz banaya karte the.......
tha ek waqt aisa jab hum pyaar kiya karte the..........
un lambi saanso mein pal-pal jiya karte the
tumhare sapne meri manzil hua karte the
dekhte jab tum un nighaon se saara jahan
tumhare kadmon mein daal diya karte the
jab ek dusre ki aankhein baatein jaan liya karti thi
tha ek waqt aisa jab hum pyaar kiya karte the........
badla hawaon ka rukh
juda hue hum aise
palke jhapakti hai jaise
naa jee sakte the naa mar sakte the :(
aur ek ye aansu the jo kabhi naa thamte the
in lamhon mein chaand taaron ke aansu mein bhiga karte the
sochte un lamhon ko jab hum pyaar kiya karte the
chale gaye the door itne ki tumhe apni aankhon mein dekha karte the
par soch kar un lamhon ko jee liya karte the
nahi tha ab saath tumhara
shukriya un lamhon ka jinhe sochkar hum jee liya karte the
tha ek waqt aisa jab hum pyaar kiya karte the.
tha ek waqt aisa jab hum pyaar kiya karte the.
No comments:
Post a Comment