Bachpan ke dukh kìtnè ächè hötè the
Tab dil nahi khilöne töotä kartè the
Woh khushiya bhi jaane kaisi khushiya the
Titlì pakad kar uchla kooda karte the
Apni naao aap dooba kar paanì me
Kaise doob gayi ye socha karte the
Choti thi toh maqr-ö-fareb bhi choti thi
Daana daal kar chidiyan pakdä kartè the
Apne jal jaane ka bhi ehsas na tha
Jalte hue sholon se khela karte the
Ab toh ek ansoo bhi ruswa karta hai
Bachpan me ji bhar ke roya karte the.
No comments:
Post a Comment