sabse chupa k dard wo muskura diya
uski hasi ne to aaj mujhe rula diya
lehje se uth raha tha har ek dard ka dhuwan
chehra bata raha tha k kuch gawaan diya
awaaz me thehrao tha aankho me nami thi
aur keh rahi thi k maine sab kuch bhula diya
najane logon se kya thi use shikayatein
tanhainyoon k des me khudko basa diya
hamse bichad k wo khud bhi adhuri si ho gayi
aur itne logo k beech humko bhi tanha tanha bana diya
No comments:
Post a Comment