Is zalim duniya main kaun jeena chahta hai,
Agar tu mil jaye,to baat kuch aur hai
Teri duniya ko chhod ke jaane ka mann to nahi karta,
Marte waqt tera aanchal mil jaye to baat kuch aur hai
Armanoo ki barat to kai baar sajai hai dil me,
Kisi ko lage wo janaza, to baat kuch aur hai,
Dil lagake dard kaun paana chahta hai, aye dost,
Par Dil milae bina gar chahat mile, to baat kuch aur hai
No comments:
Post a Comment