Itna tuta hu ki chhoone se bikhar jaunga !!
Ab agar aur dua doge to mar jaunga !!
Pooch kar mera pata........ waqt barbad na karo !!
main to banjara hu kya jane kidhar jaaunga !!
Har taraf dundh hai jugnu hai na Chiraag koi !!
Kaun pehchanega basti mein agar jaunga !!
Zindagi main bhi Musafir hu teri kashti ka !!
Tu jahan mujhse kahegi main utar jaunga !!
Phool reh jayenge guldaan me yadoon ki nazar !!
Main to khusbhu hu fhizaon mein bikhar jaunga
No comments:
Post a Comment