Ek hi baat ko har sher me likhna chaha,
Aaj tak keh na saka jo wahi kehna chaha !
Jo aankh band huyee dil me tumhe hi dekha,
Khuli nigah to tumko hi dekhna chaha !
Zindagi kat-ti rahi sirf tumhari chahat me,
Tumhare sath sath har ghadi rehna chaha!
Ungliyan jhijhak ke sharma ke ruk gayee hardam,
Yun kayee bar maine khat tumhe likhna chaha !
Tumhari khusboo se mahkti rahi yaadain meri,
Tumhare seene me Tumhare dil sa dhadkna chaha !
Tumhare khayalon me yun khoya raha rozo-shab,
Mai khud ko bhulta gaya tumhe itna chaha !
Daro dariche khule rakhe tumahri khatir,
Tumhare hathon bade shauq se lootna chaha !
Tumhari rahon ke khaar chunta raha palkon se,
Tumhare labon pe hansi ban ke thirkna chaha
No comments:
Post a Comment