Tere aanchal ko kahun mai kya ek jannat ke siva
Nazar kuch aata nahi teri surat ke siva
hai baki mujhme kya bus ek shiddat ke siva
nichod lo mujhko to paoge kya mahobbt ke siva
rah-e-ishq me roda kaun rasmo rawayat ke siva
hara hun sab kuch bas ek himmat ke siva
ya khuda!! karu mai tujhse kya shikayat ke siva
haath utha ke mangu kuch nahi nazre inayat ke siva
mai puchta hun hai kya paak duniya me ek ulfat ke siva
fir kuch kyun milta nahi nafrat ke siva
kyun milta nahi duniya me sabab-e-ishq, furkat ke siva
tahrire ye sari karu mai kaha ek dil ki adalat ke siva.
No comments:
Post a Comment