Please rate the shayaris / poems after you read them and feel free to give your comments / suggestions in the comments form. If you have a good shayari to share with us or you would like to exchange links with us please mail us at shayari@randomthotz.com.

Un Haseen palo ko

Un Haseen palo ko yaad kar rahe the,
Aasmaan se aapki baat kar rahe the,
Sukun mila jab hume hawao Ne bataya,
Aap bhi hame yaad kar rahe the.

Unki yaadon ki

Unki yaadon ki mehek in hawaon mein hai,
Kuch apnapan sa in fizaon mein hai...
Khushiyan millein har kadam pe Unhe
Bas yeh chota sa khwaab in nigahon mein hain...

Pyar ne pyar

Pyar ne pyar ko door se dekha,
pyar hi pyar ko kareeb laya,
pyar ne pyar ko bahut samjhaya,
par afsos pyar hi pyar ko samajh na paya

Itna kuch hoke

Itna kuch hoke bhi humein paana na aaya,
Pyaar itna kiya par jatana na aaya,
Wo toh aa gaye is dil mein,
Kasoor humara hai jo humein unke dil mein samana na aaya.

Apne aap se

Apne aap se baatein karne ki aadat si ho gayi...
Humein to ab apna dil jalane ki aadat si ho gayi...

Karte the jise pyaar hum jaan se bhi jyada
Aaj usse bichar kar tarapne ki aadat si ho gayi...

Ye duniya hi chor doon gar keh de wo
Humein to Zindagi se apni nafrat si ho gayi....

Zindagi ke jue mein hum muhobbat hi haar baithe
Is haar ke baad to jaise haarne ki aadat si ho gayi...

Ab kya bataein kitne toofan guzre is dil par
Ab to jaise Zindagi hamari khatam si ho gayi.....

Mere khuda

Mere khuda khushi de unhe,
humne to aansuon ki chahat ki hai,
wo mujhe bhula de ye haq hai unhe,
hamari baat alag hai humne to mohobbat ki hai.

Chahenge tumhe

Chahenge tumhe par kabhi ruswa na karenge.
Saye se bhi apne kabhi shikwa na karenge.
Puchhenge hawaon se ghataon se tera haal,
Milne ki kabhi dua na karenge..

Aasman se chand

Aasman se chand ne nihara hamen kuchh is kadar,
Ki is zubaan par aaj fir koi haseen naam aaya.
Taare jaise kahte ho koi de raha hai sadda hamen,
Chandni mein chhipa koi pyar ka paigaam aaya.

Tujhe dekhne ko

Tujhe dekhne ko tarasti hain ankhen.
taras-taras kar bahut barasti hain ankhen.
baras-baras kar jab thak jati hain ankhen.
tujhe phir dekhne ko tarasti hain ankhen

Wo Waqt wo lamhe

Wo Waqt wo lamhe Kuch ajeeb Honge
Duniya me hum khush Naseeb honge
Door se jab Itna Yaad karte hai aapko
Kya Hoga Jab aap humare Kareeb honge

Teri wafa ne mujhe

Teri wafa ne mujhe khud aur sitam karne na diya
Jo aaye palkon par moti unhe jharne na diya
Maine samhja hai khud ko sada amanat teri,
Isi khayal ne mujhko kabhi marne na diya

Hathon ki lakiron

Hathon ki lakiron mein kismat hoti hai,
Milna aur bhul jana logo ki fitrat hoti hai,
Bikharta to har koi hai dard me,
Magar gum bhulana insaan ki jarurat hoti hai

Naino me basey

Naino me basey ho aap humari,
Apna pyaar yuhi aabaad rakhna,
Mujhe to aadat hai aap ko yaad karne ki,
Agar hichkiyaan aati rahe to maaf karna.

Paane se khone ka mazaa

Paane se khone ka mazaa kuch aur hai,
Band aankhon me rone ka mazaa kuch aur hai,
Aansoo bane lafz aur lafz ghazal,
Aur uss ghazal me aap ke hone ka mazaa kuch aur hai

Kuch hain..

Kuch hain jo bolkar apni baat samne rekhte hain
Hum hain jo aankhon se izhaar karte hain
Humein adat hai kinare aakar nao doobane ki
Woh hain, ki toofan main bhi samandar paar kiya karte hain.

Dar tha tumhe kho denge

Dar tha tumhe kho denge isliye kabhi paa na sake
yaadon ko teri magar dil se bhula na sake
shikwaa aaj bhi hai tere door jaane ka
naam to honton pe tha par kabhi bula na sake.

Unki tasveer ko

Unki tasveer ko seene se laga lete hain,
Is tarah judai ka gham mitaa lete hain.
Kisi tarah zikar ho jaye unka,
To hans kar bheegi palkein jhuka lete hain.

Mohabbat Ko Majburi Ka Naam Mat Dena

Mohabbat Ko Majburi Ka Naam Mat Dena,
HaKeeqat Ko Hadso Ka Naam Mat Dena,
Agar Dil Mein Ho PYAR Kisi K Liye Toh,
Usse Kabhi DOSTI Ka Naam Mat Dena..

Khushyon par

Khushyon par fizaon ka pehra hai,
Na jane kis umeed pe dil thehra hai,
Aapki aankhon se jhalakte dard ki qasam,
Ye dosti ka rishta pyar se bhi gehra hai.

Kyun kisi ki

Kyun kisi ki khamoshi mujhe khamosh kar jaati hai,
kyun uski udaasi muje udaas kar jaati hai,
kya rishta hai uska mera
jo mujhe uski yaad har pal aa jaati hai